English Premier League Kya Hai? Sab Kuch Jo Aapko Points System, Successful Teams & India Me Live Streaming Ke Baare Me Pata Hona Chahiy

English Premier League trophy with football stadium background

Agar aap football ke fan ho, toh English Premier League (EPL) ka naam zaroor suna hoga. Ye duniya ki sabse popular aur competitive football league hai jisme England ki top 20 clubs ek dusre se takraati hain. Har saal yeh league August se May tak chalta hai aur fans ke liye ek dum entertainment ka dose ban jata hai.

EPL Points System Kaise Kaam Karta Hai?

  • Jeet (Win) → 3 Points
  • Draw (Match barabar) → 1 Point
  • Haar (Lose) → 0 Point

When Will the EPL 2025-26 Start?

EPL 2025-26 season already shuru ho chuki hai 15 August 2025 ko pehle match ke saath jo Liverpool aur Bournemouth ke beech khela gaya. Ye league 24 May 2026 ko khatam hogi. Football fans kaafi time se is tournament ka wait kar rahe the, aur ab woh ise live dekh sakte hain kahin se bhi. EPL matches ki live streaming aur telecast multiple OTT platforms par available hai, jisse duniya bhar ke fans easily enjoy kar sakte hain.

Also Read

European Competitions ke liye Qualification

Premier League ki top 4 teams directly UEFA Champions League ke liye qualify karti hain. Pehli 3 teams seedha group stage me entry leti hain, jabki 4th position wali team playoffs round me khelegi. Jo team 5th spot par hoti hai usse UEFA Europa League ka ticket milta hai, aur 6th aur 7th rank wali teams UEFA Europa Conference League me qualify karti hain.

Most Successful Teams & Reigning Kings 👑⚽

English Premier League ki history me agar baat karein toh Manchester United aur Liverpool dono hi asli baadshah rahe hain, dono ke naam par hai 20-20 titles. Arsenal apni 13 trophies ke saath unke peeche khada hai, jabki Manchester City lightning speed se apna empire build kar rahi hai with 10 titles. Aur ab baat karein reigning kings ki, toh is baar stage par Liverpool FC champion ke roop me laut chuka hai, jisne last season me City ke 4 saal ke raj ko tod dala.

Season ke end me jis team ke paas sabse zyada points hote hain, wahi Premier League Champion banti hai. Agar points equal ho jaayein, toh goal difference (banaye gaye aur khaye gaye goals ka farq) decide karta hai winner.

Most Successful EPL Teams

  • Manchester United → Sabse zyada titles jeetne wali team
  • Manchester City → Pichle kuch saalon me dominating performance
  • Chelsea, Arsenal & Liverpool → Ye bhi top contenders me hamesha rehti hain

India Me EPL Ka Live Match Kaise Dekhe?

India me English Premier League ke matches ko live dekhne ke liye aap Disney+ Hotstar aur Star Sports Network ka sahara le sakte ho. Mobile app par live stream karne ka option bhi available hai, toh chaahe aap ghar par ho ya travel me, football ka maza full HD quality me le sakte ho.

    Top Stories
    Related Post