Rishabh Shetty’s blockbuster and National Award-winning film Kantara‘s much-awaited prequel has finally been released in theaters. Fans ke liye ye film ek grand cinematic experience leke aayi hai.
⚡ Kantara Chapter 1 story ko wapas uske asli roots tak le jaata hai, jaha se pehli film ki journey shuru hui thi. Makers ne film ko aur bhi epic banane ke liye ek massive war sequence create kiya hai—jisme 500 se zyada skilled fighters aur 3,000 logon ka grand setup shamil hai. National aur international specialists ke saath banayi gayi ye visuals fans ko ek unforgettable experience dene wali hai.
Kantara Chapter 1 Box Office Day 1 Highlights
Rishab Shetty ki much-awaited film Kantara: Chapter 1 ne release ke pehle hi buzz bana diya tha aur ab box office numbers is hype ko sach sabit kar rahe hain.
- 1 PM tax collection: ₹18.8 crore
- 3 PM tax collection: ₹29 crore
- 4 PM tax collection: ₹33.25 crore
Ye sirf India ka figure hai; international market me bhi film ne dhamaka kiya hai. North America mein premiere shows ne hi film ne $500,000+ cross kar liya.
Audience & Critics Review
- Audience Reaction: Social media par log climax ko “goosebumps” aur “masterpiece” keh rahe hain. Rishab Shetty ko “master storyteller” ka tag mil raha hai.
- Critics’ Opinion: Critics ne visuals, background score aur performances ki tareef ki hai, lekin kuch logon ka kehna hai ki kahani thodi uneven aur hype se zyada simple lagi.
Popular movie critic Taran Adarsh ne X par apne thoughts share kiye aur Kantara Chapter 1 ke Hindi version ko 4.5 stars rating di. 👏 Unhone film ko “OUTSTANDING” kaha aur Rishabh Shetty ko appreciate kiya ki unhone ek aisa stunning spectacle create kiya hai jo mythology, folklore aur powerful storytelling ka perfect blend hai.
Adarsh ne ye bhi highlight kiya ki film ka narrative layered hai, emotions deeply touch karte hain, aur ye movie apne audience ke saath ek strong spiritual connection establish karti hai.
Pan-India Release
Film multiple languages me release hui hai—Kannada, Hindi, Telugu, Tamil, Malayalam, English, and Bengali—jisse iska reach aur zyada bada gaya.
